Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zinda hona aur na jina tum hi kaho kya mumkin hai

Bilqis Zafirul Hasan

zinda hona aur na jina tum hi kaho kya mumkin hai

Bilqis Zafirul Hasan

MORE BYBilqis Zafirul Hasan

    zinda honā aur na jiinā tum kaho kyā mumkin hai

    ḳhud ko kar denā an-dekhā tum kaho kyā mumkin hai

    aas lau āñkhoñ meñ jalā.e laḌtī jā.ūñ añdheroñ se

    raat hai raat ho na saverā tum kaho kyā mumkin hai

    tez havā ik jhoñkā sho'loñ meñ badal ke rakh degā

    chingārī ko dabā.e rakhnā tum kaho kyā mumkin hai

    jhuuT ke paañv nahīñ hote ik roz to pakaḌ jā.egā

    sach ke haath kabhī nahīñ aanā tum kaho kyā mumkin hai

    kis kis ko chup koī kare haiñ jitne muñh haiñ utnī bāteñ

    aag lage aur dhuāñ na uThnā tum kaho kyā mumkin hai

    mumkin hai khul kar na kahā ho us se maiñ ne magar 'bilqīs'

    us jaise kuchh na samajhnā tum kaho kyā mumkin hai

    zinda hona aur na jina tum hi kaho kya mumkin hai

    KHud ko kar dena an-dekha tum hi kaho kya mumkin hai

    aas ki lau aankhon mein jalae laDti jaun andheron se

    raat hai raat ka ho na sawera tum hi kaho kya mumkin hai

    tez hawa ka ek jhonka sho'lon mein badal ke rakh dega

    chingari ko dabae rakhna tum hi kaho kya mumkin hai

    jhuT ke panw nahin hote ek roz to pakaD jaega

    sach ke hath kabhi nahin aana tum hi kaho kya mumkin hai

    kis kis ko chup koi kare hain jitne munh hain utni baaten

    aag lage aur dhuan na uThna tum hi kaho kya mumkin hai

    mumkin hai khul kar na kaha ho us se main ne magar 'bilqis'

    us jaise ka kuchh na samajhna tum hi kaho kya mumkin hai

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    Zinda hona aur na jina tum hi kaho kya mumkin hai Azra Naqvi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now