zinda hua hai aaj tu marne ke baad bhi
zinda huā hai aaj tū marne ke baa'd bhī
aaya hai paas baaḌh utarne ke baa'd bhī
kin pāniyoñ kī or mujhe pyaas le chalī
niile samundaroñ meñ utarne ke baa'd bhī
nangī haqīqatoñ se paḌā vāsta hameñ
shīshoñ se 'aks 'aks guzarne ke baa'd bhī
kaalī rutoñ ke ḳhauf ne jiine nahīñ diyā
dariyā se mauj mauj ubharne ke baa'd bhī
har lamha zindagī ko nayā ruup chāhiye
ik bojh ban ga.ī hai sañvarne ke baa'd bhī
āñkhoñ meñ merī jāgtī rātoñ kā karb hai
har zaḳhm terī yaad kā bharne ke baa'd bhī
zinda hua hai aaj tu marne ke ba'd bhi
aaya hai pas baDh utarne ke ba'd bhi
kin paniyon ki or mujhe pyas le chali
nile samundaron mein utarne ke ba'd bhi
nangi haqiqaton se paDa wasta hamein
shishon se 'aks 'aks guzarne ke ba'd bhi
kali ruton ke KHauf ne jine nahin diya
dariya se mauj mauj ubharne ke ba'd bhi
har lamha zindagi ko naya rup chahiye
ek bojh ban gai hai sanwarne ke ba'd bhi
aankhon mein meri jagti raaton ka karb hai
har zaKHm teri yaad ka bharne ke ba'd bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.