zinda hua hai aaj tu marne ke baad bhi
zinda huā hai aaj tū marne ke ba.ad bhī
aayā hai paas baaḌh utarne ke ba.ad bhī
kin pāniyoñ kī or mujhe pyaas le chalī
niile samundaroñ meñ utarne ke ba.ad bhī
nañgī haqīqatoñ se paḌā vāsta hameñ
shīshoñ se aks aks guzarne ke ba.ad bhī
kaalī rutoñ ke ḳhauf ne jiine nahīñ diyā
dariyā se mauj mauj ubharne ke ba.ad bhī
har lamha zindagī ko nayā ruup chāhiye
ik bojh ban ga.ī hai sañvarne ke ba.ad bhī
āñkhoñ meñ merī jāgtī rātoñ kā karb hai
har zaḳhm terī yaad kā bharne ke ba.ad bhī
zinda hua hai aaj tu marne ke baad bhi
aaya hai pas baDh utarne ke baad bhi
kin paniyon ki or mujhe pyas le chali
nile samundaron mein utarne ke baad bhi
nangi haqiqaton se paDa wasta hamein
shishon se aks aks guzarne ke baad bhi
kali ruton ke KHauf ne jine nahin diya
dariya se mauj mauj ubharne ke baad bhi
har lamha zindagi ko naya rup chahiye
ek bojh ban gai hai sanwarne ke baad bhi
aankhon mein meri jagti raaton ka karb hai
har zaKHm teri yaad ka bharne ke baad bhi
- Book : Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 433)
- Author : Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
- Publication : Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj, New Delhi-110002 (July, Aug., Sep. Oct. 1978Issue No. 4,5,6,7,,Volume No. 26)
- Edition : July, Aug., Sep. Oct. 1978Issue No. 4,5,6,7,,Volume No. 26
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.