zinda rahna hai hamein in ke sahaare aage
zinda rahnā hai hameñ in ke sahāre aage
ye jo ma.asūm se chehre haiñ hamāre aage
rok sakte ho to kashtī ko yahīñ par roko
tang ho jā.eñge dariyā ke kināre aage
āsmānoñ kā safar hai ye zamīnoñ kā nahīñ
ġhaib se hoñge ka.ī aur ishāre aage
un ke baare meñ musāfir ko bhalā kyā mālūm
dekhne haiñ jo use aur nazāre aage
is se behtar bhī bhalā koī safar kyā hogā
chāñd pīchhe hai hamāre to sitāre aage
koī to baat hai chehre pe hamāre aisī
aa.ine bol nahīñ paate hamāre aage
ye judā honā bichhaḌnā to tamāshā hai ik
āḳhirī moḌ pe mil jā.eñge saare aage
zinda rahna hai hamein in ke sahaare aage
ye jo masum se chehre hain hamare aage
rok sakte ho to kashti ko yahin par roko
tang ho jaenge dariya ke kinare aage
aasmanon ka safar hai ye zaminon ka nahin
ghaib se honge kai aur ishaare aage
un ke bare mein musafir ko bhala kya malum
dekhne hain jo use aur nazare aage
is se behtar bhi bhala koi safar kya hoga
chand pichhe hai hamare to sitare aage
koi to baat hai chehre pe hamare aisi
aaine bol nahin pate hamare aage
ye juda hona bichhaDna to tamasha hai ek
aaKHiri moD pe mil jaenge sare aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.