zinda rahne ka taqaza nahin chhoDa jata
zinda rahne kā taqāzā nahīñ chhoḌā jaatā
ham ne tujh ko nahīñ chhoḌā nahīñ chhoḌā jaatā
ain mumkin hai tire hijr se mil jaa.e najāt
kyā kareñ yaar ye sahrā nahīñ chhoḌā jaatā
chhoḌ jaatī hai badan ruuh bhī jaate jaate
qaid se koī bhī puurā nahīñ chhoḌā jaatā
is qadar TuuT ke milne meñ hai nuqsān ki jab
khet pyāse hoñ to dariyā nahīñ chhoḌā jaatā
chhoḌnā tujh ko mirī jaañ hai bahut ba.ad kī baat
ham se to shahr bhī terā nahīñ chhoḌā jaatā
raushnī ḳhuub hai lekin mire hayyun-o-qayyūm
yaar añdhere meñ akelā nahīñ chhoḌā jaatā
zinda rahne ka taqaza nahin chhoDa jata
hum ne tujh ko nahin chhoDa nahin chhoDa jata
ain mumkin hai tere hijr se mil jae najat
kya karen yar ye sahra nahin chhoDa jata
chhoD jati hai badan ruh bhi jate jate
qaid se koi bhi pura nahin chhoDa jata
is qadar TuT ke milne mein hai nuqsan ki jab
khet pyase hon to dariya nahin chhoDa jata
chhoDna tujh ko meri jaan hai bahut baad ki baat
hum se to shahr bhi tera nahin chhoDa jata
raushni KHub hai lekin mere hayyun-o-qayyum
yar andhere mein akela nahin chhoDa jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.