zinda rahne ka wasila to banaya jae
zinda rahne kā vasīla to banāyā jaa.e
ġham koī DhūñD ke siine se lagāyā jaa.e
phir masarrat se chahakne sī lagī haiñ āñkheñ
phir chalo un ko nayā ḳhvāb dikhāyā jaa.e
ek muddat huī aañsū nahīñ niklā koī
kisī armān kā phir ḳhuun bahāyā jaa.e
zindagī kyā hai taḌap hī na agar ho koī
kuchh sitam kar ke yuuñ hī dil ko satāyā jaa.e
be-sukūnī na aziyyat hī huī arse se
ik dafa phir usī dilbar se mil aayā jaa.e
zinda rahne ka wasila to banaya jae
gham koi DhunD ke sine se lagaya jae
phir masarrat se chahakne si lagi hain aankhen
phir chalo un ko naya KHwab dikhaya jae
ek muddat hui aansu nahin nikla koi
kisi arman ka phir KHun bahaya jae
zindagi kya hai taDap hi na agar ho koi
kuchh sitam kar ke yun hi dil ko sataya jae
be-sukuni na aziyyat hi hui arse se
ek dafa phir usi dilbar se mil aaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.