zinda rahne kī aas hai ik shaḳhs
mujh ko jīvan meñ raas hai ik shaḳhs
ek muddat se duur hai lekin
phir bhī is dil ke paas hai ik shaḳhs
varna maiñ kab kī mar ga.ī hotī
zindagī kī asaas hai ik shaḳhs
us ke bin maiñ to maiñ nahīñ rahtī
kyā mire tan kā maas hai ik shaḳhs
mere dil kī umañg jāntā hai
kis qadar ḳhud-shanās hai ik shaḳhs
us meñ utnā hī mel mumkin hai
jis qadar ḳhush-libās hai ik shaḳhs
zinda rahne ki aas hai ek shaKHs
mujh ko jiwan mein ras hai ek shaKHs
ek muddat se dur hai lekin
phir bhi is dil ke pas hai ek shaKHs
warna main kab ki mar gai hoti
zindagi ki asas hai ek shaKHs
us ke bin main to main nahin rahti
kya mere tan ka mas hai ek shaKHs
mere dil ki umang jaanta hai
kis qadar KHud-shanas hai ek shaKHs
us mein utna hi mel mumkin hai
jis qadar KHush-libas hai ek shaKHs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.