zinda rahte dil ka dard sunane wale
zinda rahte dil kā dard sunāne vaale
kitne achchhe hote haiñ mar jaane vaale
mar jaate hī duniyā ko ḳhūbī dikhtī hai
badal raheñ haiñ qisse bhī batlāne vaale
ek shajar ne vīrāne meñ umr guzārī
suukh gayā to aa.e use girāne vaale
angāroñ ko paar kiyā tab markaz aaya
kitne haiñ mujh aise pair jalāne vaale
ik dariyā sailāb banā to aafat aa.ī
ab tak jaane kahāñ the bāñdh banāne vaale
ye duniyā keval matlab se hī saath rahī hai
dekho phūñk rahe haiñ pyaar jatāne vaale
sab kahte haiñ tū vāpas aa jā ghar apne
kab aate haiñ rāh-e-jannat jaane vaale
haañ maiñ pāgal huuñ shā.ir huuñ duur raho tum
thak kar mujh se haar ga.e samjhāne vaale
zinda rahte dil ka dard sunane wale
kitne achchhe hote hain mar jaane wale
mar jate hi duniya ko KHubi dikhti hai
badal rahen hain qisse bhi batlane wale
ek shajar ne virane mein umr guzari
sukh gaya to aae use girane wale
angaron ko par kiya tab markaz aaya
kitne hain mujh aise pair jalane wale
ek dariya sailab bana to aafat aai
ab tak jaane kahan the bandh banane wale
ye duniya kewal matlab se hi sath rahi hai
dekho phunk rahe hain pyar jatane wale
sab kahte hain tu wapas aa ja ghar apne
kab aate hain rah-e-jannat jaane wale
han main pagal hun shair hun dur raho tum
thak kar mujh se haar gae samjhane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.