zinda rahte hue zindagi chhoD di
zinda rahte hue zindagī chhoḌ dī
ik ḳhushī ke liye har ḳhushī chhoḌ dī
us ne tārīkiyoñ meñ jo chhoḌā mujhe
maiñ ne aisā kiyā raushnī chhoḌ dī
aisā chhoḌā ki saarā jahāñ luT gayā
haañ maiñ zinda rahā āshiqī chhoḌ dī
maiñ to patthar nahīñ aadmī huuñ miyāñ
kyoñ mire naam kī dushmanī chhoḌ dī
ranj-o-ġham se milāyā thā tū ne mujhe
tū batā dard meñ kyoñ kamī chhoḌ dī
jab bulāyā mujhe merī miTTī ne to
maiñ bhī tanhā chalā be-ruḳhī chhoḌ dī
zinda rahte hue zindagi chhoD di
ek KHushi ke liye har KHushi chhoD di
us ne tarikiyon mein jo chhoDa mujhe
main ne aisa kiya raushni chhoD di
aisa chhoDa ki sara jahan luT gaya
han main zinda raha aashiqi chhoD di
main to patthar nahin aadmi hun miyan
kyon mere nam ki dushmani chhoD di
ranj-o-gham se milaya tha tu ne mujhe
tu bata dard mein kyon kami chhoD di
jab bulaya mujhe meri miTTi ne to
main bhi tanha chala be-ruKHi chhoD di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.