Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zinda rakhni hai mujhe ijz ke mear ki dhun

Ezaz Kazmi

zinda rakhni hai mujhe ijz ke mear ki dhun

Ezaz Kazmi

MORE BYEzaz Kazmi

    zinda rakhnī hai mujhe ijz ke me.aar dhun

    ek sandesa hai ye hukm se inkār dhun

    palaT aa ki tujhe merī zarūrat paḌegī

    tujh ko zinda nahīñ chhoḌegī ye be-kār dhun

    dost mansūr se hotī huī ham tak pahuñchī

    haq āvāz pe DaT jaate hue daar dhun

    aap aate haiñ chale jaate haiñ milte nahīñ

    dil meñ rah jaatī hai har baar iz.hār dhun

    ai ḳhudā izn mile terī taraf aane

    kitnī betāb hai ab tere gunahgār dhun

    shahr chhoḌā hai tire ishq vahshat ke sabab

    jaane le jaa.e kahāñ ab dil-e-bīmār dhun

    zinda rakhni hai mujhe ijz ke mear ki dhun

    ek sandesa hai ye hukm se inkar ki dhun

    tu palaT aa ki tujhe meri zarurat paDegi

    tujh ko zinda nahin chhoDegi ye be-kar ki dhun

    dost mansur se hoti hui hum tak pahunchi

    haq ki aawaz pe DaT jate hue dar ki dhun

    aap aate hain chale jate hain milte hi nahin

    dil mein rah jati hai har bar hi izhaar ki dhun

    ai KHuda izn mile teri taraf aane ka

    kitni betab hai ab tere gunahgar ki dhun

    shahr chhoDa hai tere ishq ki wahshat ke sabab

    jaane le jae kahan ab dil-e-bimar ki dhun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now