zinda tamam shai hai bas pyar mar gaya hai
zinda tamām shai hai bas pyaar mar gayā hai
duniyā se shaḳhs jo thā bezār mar gayā hai
tāzīm-e-shaiḳh koī kartā nahīñ miyāñ ab
nazroñ meñ naujavāñ kī ghar-bār mar gayā hai
is mausam-e-ḳhizāñ meñ havvā havā meñ dekho
lagtā hai jaise koī gulzār mar gayā hai
alfāz-e-bad-kalāmī be-ġhairatī kī bāteñ
go mahfil-e-ravāñ kā me.amār mar gayā hai
kuchh to ilaaj 'mūsā' tū DhūñD dard-o-ġham kā
ġham baḌhte jā rahe haiñ ġham-ḳhvār mar gayā hai
zinda tamam shai hai bas pyar mar gaya hai
duniya se shaKHs jo tha bezar mar gaya hai
tazim-e-shaiKH koi karta nahin miyan ab
nazron mein naujawan ki ghar-bar mar gaya hai
is mausam-e-KHizan mein hawwa hawa mein dekho
lagta hai jaise koi gulzar mar gaya hai
alfaz-e-bad-kalami be-ghairati ki baaten
go mahfil-e-rawan ka meamar mar gaya hai
kuchh to ilaj 'musa' tu DhunD dard-o-gham ka
gham baDhte ja rahe hain gham-KHwar mar gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.