zindan mein hun main shahr-e-nigaran se kya mujhe
zindāñ meñ huuñ maiñ shahr-e-nigārāñ se kyā mujhe
is gulsitāñ kī bād-e-bahārāñ se kyā mujhe
vo kaam apnā kar hī gayā ehtiyāt se
yuuñ dekhte ho dīda-e-hairāñ se kyā mujhe
vīrāniyāñ haiñ gor-e-ġharībāñ sī har taraf
lenā hai aaj shahr-e-daraḳhshāñ se kyā mujhe
chhūne lage haiñ haath mire mehr-o-māh ko
mahfil kī āb-o-tāb-e-charāġhāñ se kyā mujhe
hāthoñ ko zaḳhm qalb ko māyūsiyāñ milīñ
is ke sivā milā hai gulistāñ se kyā mujhe
'mohsin' shab-e-siyāh kā maarā huā huuñ maiñ
ab vāsta ho sham-e-shabistāñ se kyā mujhe
zindan mein hun main shahr-e-nigaran se kya mujhe
is gulsitan ki baad-e-bahaaran se kya mujhe
wo kaam apna kar hi gaya ehtiyat se
yun dekhte ho dida-e-hairan se kya mujhe
viraniyan hain gor-e-ghariban si har taraf
lena hai aaj shahr-e-daraKHshan se kya mujhe
chhune lage hain hath mere mehr-o-mah ko
mahfil ki aab-o-tab-e-charaghan se kya mujhe
hathon ko zaKHm qalb ko mayusiyan milin
is ke siwa mila hai gulistan se kya mujhe
'mohsin' shab-e-siyah ka mara hua hun main
ab wasta ho sham-e-shabistan se kya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.