zindani zanjir ko ghurta rahta hai
zindānī zanjīr ko ghūrtā rahtā hai
kaḌiyoñ ko shahtīr ko ghūrtā rahtā hai
hotā kab hai aisā suḳhan muqaddar meñ
dil bhī hazrat-e'mīr' ko ghūrtā rahtā hai
thak jaatā hai pahle to ḳhat paḌh paḌh ke
qaidī phir tahrīr ko ghūrtā rahtā hai
aadat se majbūr thā ba.ad-az-marg bhī vo
munkir aur nakīr ko ghūrtā rahtā hai
ek shanāsā shakl kī ḳhātir barsoñ se
rasta har rāhgīr ko ghūrtā rahtā hai
lekin ham taqdīr ke aage bebas haiñ
nāḳhun har tadbīr ko ghūrtā rahtā hai
shaam savere sote jāgte barsoñ se
sub.h-o-shām zamīr ko ghūrtā rahtā hai
zindani zanjir ko ghurta rahta hai
kaDiyon ko shahtir ko ghurta rahta hai
hota kab hai aisa suKHan muqaddar mein
dil bhi hazrat-e'mir' ko ghurta rahta hai
thak jata hai pahle to KHat paDh paDh ke
qaidi phir tahrir ko ghurta rahta hai
aadat se majbur tha baad-az-marg bhi wo
munkir aur nakir ko ghurta rahta hai
ek shanasa shakl ki KHatir barson se
rasta har rahgir ko ghurta rahta hai
lekin hum taqdir ke aage bebas hain
naKHun har tadbir ko ghurta rahta hai
sham sawere sote jagte barson se
subh-o-sham zamir ko ghurta rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.