zindagani habab ki si hai
zindagānī habāb kī sī hai
hast-o-būd apnī ḳhvāb kī sī hai
hai har ik saañs ik varaq jaisā
ziist apnī kitāb kī sī hai
un kī mastāna añkhḌiyāñ tauba
koī dūkāñ sharāb kī sī hai
tishna-kām-e-havas tū kyā jaane
are duniyā sarāb kī sī hai
chāk-e-zātī kā aib bhī hai kamāl
kyā qabā bhī gulāb kī sī hai
chheḌ mujh ko ko rāz-e-dil sun lo
merī hālat rabāb kī sī hai
hiddat-e-nāz-e-ġham ma.āz-allāh
dil kī hālat kabāb kī sī hai
dushman-e-hosh hai shabāb kā daur
is meñ mastī sharāb kī sī hai
kyoñ na ḳhūñ-reziyāñ hoñ duniyā meñ
aamad ik inqalāb kī sī hai
ishq meñ tere talḳhī-e-ġham bhī
mujh ko ik shahd-e-nāb kī sī hai
ziist meñ marg hai to marg meñ ziist
hālat ik mauj-e-āb kī sī hai
sifat-o-zāt ek haiñ dar-asl
nisbat āb-o-habāb kī sī hai
baḳhshish ahl-e-karam kī ai 'zā.iq'
tābish-e-āftāb kī sī hai
zindagani habab ki si hai
hast-o-bud apni KHwab ki si hai
hai har ek sans ek waraq jaisa
zist apni kitab ki si hai
un ki mastana ankhDiyan tauba
koi dukan sharab ki si hai
tishna-kaam-e-hawas tu kya jaane
are duniya sarab ki si hai
chaak-e-zati ka aib bhi hai kamal
kya qaba bhi gulab ki si hai
chheD mujh ko ko raaz-e-dil sun lo
meri haalat rabab ki si hai
hiddat-e-naz-e-gham maaz-allah
dil ki haalat kabab ki si hai
dushman-e-hosh hai shabab ka daur
is mein masti sharab ki si hai
kyon na KHun-reziyan hon duniya mein
aamad ek inqalab ki si hai
ishq mein tere talKHi-e-gham bhi
mujh ko ek shahd-e-nab ki si hai
zist mein marg hai to marg mein zist
haalat ek mauj-e-ab ki si hai
sifat-o-zat ek hain dar-asl
nisbat aab-o-habab ki si hai
baKHshish ahl-e-karam ki ai 'zaiq'
tabish-e-aftab ki si hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.