zindagani hasraton ka nam hai
zindagānī hasratoñ kā naam hai
hai vahī zinda ki jo nākām hai
mere mar jaane pe bole chārāgar
ab ise sone hī do ārām hai
ai mohabbat bād-e-jāñ kyā duuñ tujhe
ab yahāñ kyā hai ḳhudā kā naam hai
hai yaqīnan vo muqaddar kā dhanī
jis ke tan pe jāma-e-ehrām hai
narm bistar par huuñ maiñ leTā huā
in dinoñ ārām hī ārām hai
mat burā.ī kījiyo hargiz 'sa.īd'
gar tujhe thoḌā bhī pās-e-nām hai
zindagani hasraton ka nam hai
hai wahi zinda ki jo nakaam hai
mere mar jaane pe bole chaaragar
ab ise sone hi do aaram hai
ai mohabbat baad-e-jaan kya dun tujhe
ab yahan kya hai KHuda ka nam hai
hai yaqinan wo muqaddar ka dhani
jis ke tan pe jama-e-ehram hai
narm bistar par hun main leTa hua
in dinon aaram hi aaram hai
mat burai kijiyo hargiz 'said'
gar tujhe thoDa bhi pas-e-nam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.