zindagani jab hamein ras aaegi
zindagānī jab hameñ raas aa.egī
dekh lenā maut bhī aa jā.egī
vo nazar jab bhī karam farmā.egī
lāziman duniyā hameñ apnā.egī
mere ghar se shām-e-ġham kab jā.egī
aaj jā.egī to kal phir aa.egī
kaun zinda rah sakegā bin tire
kis se ye tohmat uThā.ī jā.egī
kaun jaane kyā ho phir tauba kā hashr
mai-kade par jab ghaTā ghir aa.egī
ek din ham ḳhaak meñ mil jā.eñge
har haqīqat dāstāñ ban jā.egī
kyā karūñ un kī nasīhat kā gila
dostoñ se aur kyā ban aa.egī
maiñ na kahtā thā na pūchheñ merā haal
aap ko sun kar hañsī aa jā.egī
gardish-e-daurāñ ko samjhā dījiye
ham se uljhegī to muñh kī khā.egī
vo miTāne ko haiñ ai 'āsī' hameñ
ye ḳhalish bhī ek din miT jā.egī
zindagani jab hamein ras aaegi
dekh lena maut bhi aa jaegi
wo nazar jab bhi karam farmaegi
laziman duniya hamein apnaegi
mere ghar se sham-e-gham kab jaegi
aaj jaegi to kal phir aaegi
kaun zinda rah sakega bin tere
kis se ye tohmat uThai jaegi
kaun jaane kya ho phir tauba ka hashr
mai-kade par jab ghaTa ghir aaegi
ek din hum KHak mein mil jaenge
har haqiqat dastan ban jaegi
kya karun un ki nasihat ka gila
doston se aur kya ban aaegi
main na kahta tha na puchhen mera haal
aap ko sun kar hansi aa jaegi
gardish-e-dauran ko samjha dijiye
hum se uljhegi to munh ki khaegi
wo miTane ko hain ai 'asi' hamein
ye KHalish bhi ek din miT jaegi
- Book : زندگی کے مارے لوگ (Pg. 51)
- Author : ودیا رتن آسی
- Publication : چیتن پرکاشن،پنجابی بھون،لدھیانہ (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.