zindagani jab kahani ho gai
zindagānī jab kahānī ho ga.ī
vo kahānī ḳhud purānī ho ga.ī
zindagī ne jo masarrat paa.ī thī
vo ḳhushī āñkhoñ kā paanī ho ga.ī
jaan dī dil de diyā saudā kiyā
baat ye saarī zabānī ho ga.ī
baat us ne rāste meñ jab na kī
maiñ ye samjhā vo siyānī ho ga.ī
daaġh dāman pe hamāre jo lage
kyā ye ulfat kī nishānī ho ga.ī
un ke aane se huā masrūr maiñ
zindagī kī mehrbānī ho ga.ī
ishq ne pherā tasavvur ko mire
ye zamīn ab āsmānī ho ga.ī
zindagani jab kahani ho gai
wo kahani KHud purani ho gai
zindagi ne jo masarrat pai thi
wo KHushi aankhon ka pani ho gai
jaan di dil de diya sauda kiya
baat ye sari zabani ho gai
baat us ne raste mein jab na ki
main ye samjha wo siyani ho gai
dagh daman pe hamare jo lage
kya ye ulfat ki nishani ho gai
un ke aane se hua masrur main
zindagi ki mehrbani ho gai
ishq ne phera tasawwur ko mere
ye zamin ab aasmani ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.