zindagani ka bana lije chalan husn-e-suluk
zindagānī kā banā liije chalan husn-e-sulūk
log jaise bhī hoñ rakhiye husn-e-zan husn-e-sulūk
sa.i-e-paiham ho ki har din zindagī kā ḳhvāb ho
har amal husn-e-amal ho har jatan husn-e-sulūk
rahbaro fitna-garo ġhārat-garān-e-dīñ suno
al-hazar ab chāhtā hai ye vatan husn-e-sulūk
dhuup hai to kaisā shikva aap ḳhud saaya baneñ
be-ġharaz karte haiñ sab sarv-o-saman husn-e-sulūk
muskurā.eñ rañj bāñTeñ aur shajar-kārī kareñ
chāhte haiñ aap se koh-o-daman husn-e-sulūk
ham burā.ī ko burā.ī se badal sakte nahīñ
rāh-rau ho yā ho koī rāhzan husn-e-sulūk
aap bhī 'ahmad' faqat nāseh na baniye kiije kuchh
har adā husn-e-adā ho har suḳhan husn-e-sulūk
zindagani ka bana lije chalan husn-e-suluk
log jaise bhi hon rakhiye husn-e-zan husn-e-suluk
sai-e-paiham ho ki har din zindagi ka KHwab ho
har amal husn-e-amal ho har jatan husn-e-suluk
rahbaro fitna-garo ghaarat-garan-e-din suno
al-hazar ab chahta hai ye watan husn-e-suluk
dhup hai to kaisa shikwa aap KHud saya banen
be-gharaz karte hain sab sarw-o-saman husn-e-suluk
muskuraen ranj banTen aur shajar-kari karen
chahte hain aap se koh-o-daman husn-e-suluk
hum burai ko burai se badal sakte nahin
rah-rau ho ya ho koi rahzan husn-e-suluk
aap bhi 'ahmad' faqat naseh na baniye kije kuchh
har ada husn-e-ada ho har suKHan husn-e-suluk
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.