zindagani ka kya karen sahab
zindagānī kā kyā kareñ sāhab
rā.egānī kā kyā kareñ sāhab
aap ke hukm ke ġhulām hue
hukmarānī kā kyā kareñ sāhab
dil ke khañDarāt ham ko kaafī haiñ
rājdhānī kā kyā kareñ sāhab
ham makānoñ kī qaid ke panchhī
lā-makānī kā kyā kareñ sāhab
zālimoñ kī mahān bastī meñ
shādmānī kā kyā kareñ sāhab
baaġh sannāTā dhuul aur pat-jhaḌ
bāġhbānī kā kyā kareñ sāhab
aap aa.e to haiñ kahānī meñ
ab kahānī kā kyā kareñ sāhab
dil hai zinda magar dhaḌaktā nahīñ
āñ-jahānī kā kyā kareñ sāhab
zindagani ka kya karen sahab
raegani ka kya karen sahab
aap ke hukm ke ghulam hue
hukmarani ka kya karen sahab
dil ke khanDaraat hum ko kafi hain
rajdhani ka kya karen sahab
hum makanon ki qaid ke panchhi
la-makani ka kya karen sahab
zalimon ki mahan basti mein
shadmani ka kya karen sahab
bagh sannaTa dhul aur pat-jhaD
baghbani ka kya karen sahab
aap aae to hain kahani mein
ab kahani ka kya karen sahab
dil hai zinda magar dhaDakta nahin
aan-jahani ka kya karen sahab
- Book : Pakistani Adab (Pg. 551)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.