zindagani ka sara mela hai
zindagānī kā saarā mela hai
mar ga.e par faqat akelā hai
garm-bāzārī-e-fanā apnī
gāñTh meñ paisa hai na dhelā hai
ilm kī aap apnī istedād
kahīñ murshid kahīñ pe chelā hai
Duubī jaatī hai naav hastī kī
mauja-e-girya kā zor relā hai
hai junūñ aur hujūm laḌkoñ kā
merā sar hai to un kā Dhelā hai
dostī dushmanī-o-rāhat-o-ranj
jiite jī kā ye sab jhamelā hai
nāz-e-gul kā shahīd hai jo 'fanā'
qabr par gul-ruḳhoñ kā mela hai
zindagani ka sara mela hai
mar gae par faqat akela hai
garm-bazari-e-fana apni
ganTh mein paisa hai na dhela hai
ilm ki aap apni istedad
kahin murshid kahin pe chela hai
Dubi jati hai naw hasti ki
mauja-e-girya ka zor rela hai
hai junun aur hujum laDkon ka
mera sar hai to un ka Dhela hai
dosti dushmani-o-rahat-o-ranj
jite ji ka ye sab jhamela hai
naz-e-gul ka shahid hai jo 'fana'
qabr par gul-ruKHon ka mela hai
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 26)
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.