zindagani ki masarrat bhi juda humse hui
zindagānī kī masarrat bhī judā ham se huī
jurm ye thā ki na tardīd-e-ḳhudā ham se huī
ham gunahgār sahī phir bhī tire bande haiñ
har shab-e-ġham meñ ḳhudā terī sanā ham se huī
sar uThāte hue chalte rahe sahrāoñ meñ
kisī hālat meñ na majrūh anā ham se huī
koī aisā thā jo kahtā na buroñ ko bhī burā
bas tire shahr meñ ye rasm adā ham se huī
ham to bas tere sahāre hī chale haiñ ab tak
jaane kyoñ aaj tū bargashta sabā ham se huī
half le kar jo kaTahre meñ ga.e ham 'ḳhurshīd'
terā hī naam liyā itnī ḳhatā ham se huī
zindagani ki masarrat bhi juda hum se hui
jurm ye tha ki na tardid-e-KHuda hum se hui
hum gunahgar sahi phir bhi tere bande hain
har shab-e-gham mein KHuda teri sana hum se hui
sar uThate hue chalte rahe sahraon mein
kisi haalat mein na majruh ana hum se hui
koi aisa tha jo kahta na buron ko bhi bura
bas tere shahr mein ye rasm ada hum se hui
hum to bas tere sahaare hi chale hain ab tak
jaane kyon aaj tu bargashta saba hum se hui
half le kar jo kaTahre mein gae hum 'KHurshid'
tera hi nam liya itni KHata hum se hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.