zindagani ko adam-abaad le jaane laga
zindagānī ko adam-ābād le jaane lagā
har guzartā din kisī kī yaad le jaane lagā
ek mahfil se uThāyā hai dil-e-nāshād ne
ek mahfil meñ dil-e-nāshād le jaane lagā
kis taraf se aa rahā hai kārvāñ asbāb kā
kis taraf ye ḳhānumāñ-barbād le jaane lagā
ik sitāra mil gayā thā raat kī tamsīl meñ
āsmānoñ tak mirī fariyād le jaane lagā
maiñ hī apnī qaid meñ thā aur maiñ hī ek din
kar ke apne aap ko āzād le jaane lagā
zindagani ko adam-abaad le jaane laga
har guzarta din kisi ki yaad le jaane laga
ek mahfil se uThaya hai dil-e-nashad ne
ek mahfil mein dil-e-nashad le jaane laga
kis taraf se aa raha hai karwan asbab ka
kis taraf ye KHanuman-barbaad le jaane laga
ek sitara mil gaya tha raat ki tamsil mein
aasmanon tak meri fariyaad le jaane laga
main hi apni qaid mein tha aur main hi ek din
kar ke apne aap ko aazad le jaane laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.