zindagani mein nekiyan rakh de
zindagānī meñ nekiyāñ rakh de
shab kī duniyā meñ kahkashāñ rakh de
husn phūloñ kā aur nikhregā
sehn-e-gulshan meñ titliyāñ rakh de
aag nafrat kī kyoñ lagātā hai
ḳhaak karke na bastiyāñ rakh de
ġhair mahfūz saare ḳhitte haiñ
tū jahāñ chāhe āshiyāñ rakh de
koī 'betāb' hāl-e-dil pūchhe
ziist kī chand talḳhiyāñ rakh de
zindagani mein nekiyan rakh de
shab ki duniya mein kahkashan rakh de
husn phulon ka aur nikhrega
sehn-e-gulshan mein titliyan rakh de
aag nafrat ki kyon lagata hai
KHak karke na bastiyan rakh de
ghair mahfuz sare KHitte hain
tu jahan chahe aashiyan rakh de
koi 'betab' haal-e-dil puchhe
zist ki chand talKHiyan rakh de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.