zindagi ab ke na Khaali jaegi
zindagī ab ke na ḳhālī jā.egī
jaan ab lamhoñ meñ Daalī jā.egī
ye ḳhabar to roz kā mā'mūl hai
kis kī pagḌī ab uchhālī jā.egī
chaaT jā.egī vo dīmak kī tarah
vo havas jo dil meñ paalī jā.egī
jantarī se ab bharosa uTh gayā
faal ġhazloñ se nikālī jā.egī
'ahd-e-pīrī meñ bhī dil bas meñ nahīñ
jaane kab ye lā-ubālī jā.egī
ḳhūn-e-dil ab aañkh se Tapkā mirī
aañkh se ab ye na laalī jā.egī
ab safar kā hukm sādir ho gayā
baat dil kī ab na Taalī jā.egī
us se ab 'shāhid' ta'alluq ḳhatm-shud
ab tabī'at yuuñ sañbhālī jā.egī
zindagi ab ke na KHali jaegi
jaan ab lamhon mein Dali jaegi
ye KHabar to roz ka ma'mul hai
kis ki pagDi ab uchhaali jaegi
chaT jaegi wo dimak ki tarah
wo hawas jo dil mein pali jaegi
jantari se ab bharosa uTh gaya
fal ghazlon se nikali jaegi
'ahd-e-piri mein bhi dil bas mein nahin
jaane kab ye la-ubaali jaegi
KHun-e-dil ab aankh se Tapka meri
aankh se ab ye na lali jaegi
ab safar ka hukm sadir ho gaya
baat dil ki ab na Tali jaegi
us se ab 'shahid' ta'alluq KHatm-shud
ab tabi'at yun sanbhaali jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.