zindagi aur bhi dushwar hui jati hai
zindagī aur bhī dushvār huī jaatī hai
ab to har saañs ik āzār huī jaatī hai
bin kahe rāz-e-mohabbat hai zamāne pe ayaañ
ḳhāmushī bhī mirī guftār huī jaatī hai
saaf inkār kiyā vasl se tū ne lekin
muskurāhaT tirī iqrār huī jaatī hai
kabhī Dartā huuñ girāñ guzre na un ko mirī baat
aur kabhī jur.at-e-iz.hār huī jaatī hai
un ke aane kī ḳhabar sun ke na jaane us dam
tez kuchh qalb kī raftār huī jaatī hai
zabt kī had se guzarte hī mohabbat apnī
ḳhuub rusvā sar-e-bāzār huī jaatī hai
un kī ma.asūm nazar thī kabhī 'fayyāz' magar
ab to aalam se ḳhabar-dār huī jaatī hai
zindagi aur bhi dushwar hui jati hai
ab to har sans ek aazar hui jati hai
bin kahe raaz-e-mohabbat hai zamane pe ayan
KHamushi bhi meri guftar hui jati hai
saf inkar kiya wasl se tu ne lekin
muskurahaT teri iqrar hui jati hai
kabhi Darta hun giran guzre na un ko meri baat
aur kabhi jurat-e-izhaar hui jati hai
un ke aane ki KHabar sun ke na jaane us dam
tez kuchh qalb ki raftar hui jati hai
zabt ki had se guzarte hi mohabbat apni
KHub ruswa sar-e-bazar hui jati hai
un ki masum nazar thi kabhi 'fayyaz' magar
ab to aalam se KHabar-dar hui jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.