zindagi aur ghar ka naqsha ek jaisa ho raha hai
zindagi aur ghar ka naqsha ek jaisa ho raha hai
Ehsanul Haq Mazhar
MORE BYEhsanul Haq Mazhar
zindagī aur ghar kā naqsha ek jaisā ho rahā hai
kamre baḌhte jā rahe haiñ sahn chhoTā ho rahā hai
ġham ne ham ko aa liyā to itnī hairat kyoñ hai dil ko
maiñ ne pahle kah diyā thā apnā pīchhā ho rahā hai
log marte jā rahe haiñ do taraf se aur afsos
zindagī ke naam par ye saarā jhagḌā ho rahā hai
ishq aisā muḳhtalif bhī tajraba 'maz.har' nahīñ hai
ḳhvāb dekhe jā rahe haiñ kām-dhandā ho rahā hai
zindagi aur ghar ka naqsha ek jaisa ho raha hai
kamre baDhte ja rahe hain sahn chhoTa ho raha hai
gham ne hum ko aa liya to itni hairat kyon hai dil ko
main ne pahle kah diya tha apna pichha ho raha hai
log marte ja rahe hain do taraf se aur afsos
zindagi ke nam par ye sara jhagDa ho raha hai
ishq aisa muKHtalif bhi tajraba 'mazhar' nahin hai
KHwab dekhe ja rahe hain kaam-dhanda ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.