zindagi bandhi gai hai jab hawa ki Dor se
zindagī bāñdhī ga.ī hai jab havā kī Dor se
maiñ ne tūfāñ ko dabā rakhā hai apnī or se
roz-o-shab kī aaḌī tirchhī sī ka.ī parchhā.iyāñ
shaam jaise baiThī ho kājal lagā kar bhor se
thartharāte hoñT par kuchh TūTte alfāz haiñ
dil dhaḌaktā jā rahā hai aur bhī kuchh zor se
surḳh āñkhoñ kī lakīroñ ne nichoḌā dil kā ḳhuuñ
ret ke zarroñ ko sūraj dekhtā hai ġhaur se
zulm kī tāqat alag hai sabr kī tāqat alag
dard kā rishta vafā se hai sitam kā jaur se
kaun suntā hai kisī key saañs ke naġhmoñ key dhun
sab ne apnā raag chheḌā apne apne taur se
vaqt gardish kar rahā hai suuī kī ik nok par
ham bhī laḌ kar jī rahe haiñ kaise nāzuk daur se
zindagi bandhi gai hai jab hawa ki Dor se
main ne tufan ko daba rakha hai apni or se
roz-o-shab ki aaDi tirchhi si kai parchhaiyan
sham jaise baiThi ho kajal laga kar bhor se
thartharaate honT par kuchh TuTte alfaz hain
dil dhaDakta ja raha hai aur bhi kuchh zor se
surKH aankhon ki lakiron ne nichoDa dil ka KHun
ret ke zarron ko suraj dekhta hai ghaur se
zulm ki taqat alag hai sabr ki taqat alag
dard ka rishta wafa se hai sitam ka jaur se
kaun sunta hai kisi key sans ke naghmon key dhun
sab ne apna rag chheDa apne apne taur se
waqt gardish kar raha hai sui ki ek nok par
hum bhi laD kar ji rahe hain kaise nazuk daur se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.