zindagi baqi hai ab do chaar din
zindagī baaqī hai ab do chaar din
gin rahā hai ye tirā bīmār din
shoḳhiyoñ se kījiye pāmāl dil
haiñ tumhāre naaz ke sarkār din
vo jo the ahd-e-javānī ke mirī
kaise guzre barq kī raftār din
aap ne jab se nigāheñ pher liiñ
ho ga.e haiñ kāTne dushvār din
maah hai mūbāf nayyar ḳhāl-e-ruḳh
zulf shab hai aur hai ruḳhsār din
tum ulaT do apne ruḳh se jo naqāb
ho shabistāñ meñ abhī bedār din
ashk piite haiñ ye baade kī jagah
kāTte haiñ is tarah mai-ḳhvār din
iid ke din mil rahe haiñ vo gale
aisā aa.e din meñ sau sau baar din
dar pe haiñ nazreñ kabhī haiñ baam par
yuuñ guzartā hai tah-e-dīvār din
sang-dil itnī bhī ai shīrīñ na ban
kohkan kaaTe sar-e-kohsār din
tum baham shīr-o-shakar ho kar raho
yuuñ guzāro kāfir-o-dīñ-dār din
intizār-e-yūsuf-e-dildār meñ
roz guzre hai sar-e-bāzār din
yād-e-but hai aur qashqa bar-jabīñ
kāTtā huuñ bāñdh kar zunnār din
jab se saudā chashm-o-abrū kā huā
tiir haiñ rāteñ mujhe talvār din
zindagī 'jauhar' thī jab rashk-e-bahār
vaah kyā apne the vo gulzār din
zindagi baqi hai ab do chaar din
gin raha hai ye tera bimar din
shoKHiyon se kijiye pamal dil
hain tumhaare naz ke sarkar din
wo jo the ahd-e-jawani ke meri
kaise guzre barq ki raftar din
aap ne jab se nigahen pher lin
ho gae hain kaTne dushwar din
mah hai mubaf nayyar KHal-e-ruKH
zulf shab hai aur hai ruKHsar din
tum ulaT do apne ruKH se jo naqab
ho shabistan mein abhi bedar din
ashk pite hain ye baade ki jagah
kaTte hain is tarah mai-KHwar din
id ke din mil rahe hain wo gale
aisa aae din mein sau sau bar din
dar pe hain nazren kabhi hain baam par
yun guzarta hai tah-e-diwar din
sang-dil itni bhi ai shirin na ban
kohkan kaTe sar-e-kohsar din
tum baham shir-o-shakar ho kar raho
yun guzaro kafir-o-din-dar din
intizar-e-yusuf-e-dildar mein
roz guzre hai sar-e-bazar din
yaad-e-but hai aur qashqa bar-jabin
kaTta hun bandh kar zunnar din
jab se sauda chashm-o-abru ka hua
tir hain raaten mujhe talwar din
zindagi 'jauhar' thi jab rashk-e-bahaar
wah kya apne the wo gulzar din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.