zindagi bach nikalti hai har jang mein waqt ke war se
zindagī bach nikaltī hai har jañg meñ vaqt ke vaar se
phir Tapaktā hai ik baar lamhoñ kā ḳhuuñ saañs kī dhaar se
kitne shahroñ kī ālūdgī ko havā ne ikaTThā kiyā
aur marne pe aa.e to ham mar ga.e gul kī mahkār se
dard vaale to īmān le aa.eñ haiñ lafz par sāhibo!
lafz kyā shai hai pūchho ye fankār se yā azā-dār se
Dūbte vaqt māñjhī se dariyā ne bā-dīda-e-nam kahā
koī kashtī kināre lagī hai kabhī ek patvār se!
dil yahī chāhtā thā 'shanāvar' sitāroñ kā muñh noch luuñ!
shahr ko maiñ ne dekhā thā ik raat masjid ke mīnār se
zindagi bach nikalti hai har jang mein waqt ke war se
phir Tapakta hai ek bar lamhon ka KHun sans ki dhaar se
kitne shahron ki aaludgi ko hawa ne ikaTTha kiya
aur marne pe aae to hum mar gae gul ki mahkar se
dard wale to iman le aaen hain lafz par sahibo!
lafz kya shai hai puchho ye fankar se ya aza-dar se
Dubte waqt manjhi se dariya ne ba-dida-e-nam kaha
koi kashti kinare lagi hai kabhi ek patwar se!
dil yahi chahta tha 'shanawar' sitaron ka munh noch lun!
shahr ko main ne dekha tha ek raat masjid ke minar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.