zindagi-baKHsh samar shaKH mein kam aate hain
zindagī-baḳhsh samar shāḳh meñ kam aate haiñ
ab ke mausam meñ jo aate haiñ to ġham aate haiñ
dīn-o-īmāñ se ġharaz hai na rivāyāt kā paas
tel kī khoj meñ europe ke sanam aate haiñ
dil kī vahshat na ga.ī zaḳhm kā Tāñkā na khulā
us kī mahfil se bhī bā-dīda-e-nam aate haiñ
bā-ḳhabar ai chaman-e-hind ke ḳhush-rang tuyūr
dāna-o-dām liye ahl-e-karam aate haiñ
shab-gazīdoñ se koī jā ke kaho mat ghabrā.eñ
parcham-e-sub.h uThā.e hue ham aate haiñ
kis gharāne se ta.alluq hai ham ahl-e-dil kā
ḳhair-maqdam ke liye dair-o-haram aate haiñ
jab se bāzār meñ bikne lage fankār 'niyāz'
mujh se arbāb-e-qalam shahr meñ kam aate haiñ
zindagi-baKHsh samar shaKH mein kam aate hain
ab ke mausam mein jo aate hain to gham aate hain
din-o-iman se gharaz hai na riwayat ka pas
tel ki khoj mein europe ke sanam aate hain
dil ki wahshat na gai zaKHm ka Tanka na khula
us ki mahfil se bhi ba-dida-e-nam aate hain
ba-KHabar ai chaman-e-hind ke KHush-rang tuyur
dana-o-dam liye ahl-e-karam aate hain
shab-gazidon se koi ja ke kaho mat ghabraen
parcham-e-subh uThae hue hum aate hain
kis gharane se talluq hai hum ahl-e-dil ka
KHair-maqdam ke liye dair-o-haram aate hain
jab se bazar mein bikne lage fankar 'niyaz'
mujh se arbab-e-qalam shahr mein kam aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.