zindagi bas zindagi itni banani rah gai
zindagī bas zindagī itnī banānī rah ga.ī
ban ga.e kirdār saare bas kahānī rah ga.ī
chhoḌ kar tahzīb jab bas bad-zabānī rah ga.ī
to kaho kis kaam kī phir naujavānī rah ga.ī
'aql daulat dostī sab lāpata sā ho gayā
'ishq meñ ab mahz merī jaan jaanī rah ga.ī
titliyāñ haqdār gulshan ke sabhī phūloñ kī thiiñ
jugnuoñ kī qismatoñ meñ rāt-rānī rah ga.ī
vo buzurgoñ kī batā.ī to kahīñ miltī nahīñ
ab dukhoñ ko jheltī hī bas javānī rah ga.ī
zindagi bas zindagi itni banani rah gai
ban gae kirdar sare bas kahani rah gai
chhoD kar tahzib jab bas bad-zabani rah gai
to kaho kis kaam ki phir naujawani rah gai
'aql daulat dosti sab lapata sa ho gaya
'ishq mein ab mahz meri jaan jaani rah gai
titliyan haqdar gulshan ke sabhi phulon ki thin
jugnuon ki qismaton mein raat-rani rah gai
wo buzurgon ki batai to kahin milti nahin
ab dukhon ko jhelti hi bas jawani rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.