zindagī be-dalīl kitnī hai
har ḳhushī yaañ qalīl kitnī hai
niiñd rūThī huī hai muddat se
shab-e-hijrāñ tavīl kitnī hai
manziloñ ke shumār-e-kār batā
ḳhvāhishoñ kī sabīl kitnī hai
kaun āḳhir lagātā andāza
gahrī āñkhoñ kī jhiil kitnī hai
zulm kā haath baḌh gayā had se
abhī rassī meñ Dhiil kitnī hai
ye jo do din kī zindagī hai 'duā'
ye hasīn-o-jamīl kitnī hai
zindagi be-dalil kitni hai
har KHushi yan qalil kitni hai
nind ruThi hui hai muddat se
shab-e-hijran tawil kitni hai
manzilon ke shumar-e-kar bata
KHwahishon ki sabil kitni hai
kaun aaKHir lagata andaza
gahri aankhon ki jhil kitni hai
zulm ka hath baDh gaya had se
abhi rassi mein Dhil kitni hai
ye jo do din ki zindagi hai 'dua'
ye hasin-o-jamil kitni hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.