zindagi be-sar-o-saman hai qissa kya hai
zindagī be-sar-o-sāmān hai qissa kyā hai
jis ko dekho vo pareshān hai qissa kyā hai
zulf aariz pe pareshān hai qissa kyā hai
sāya-e-kufr meñ īmān hai qissa kyā hai
aaj ke daur meñ bas chāk-garebāñ honā
tere dīvānoñ kī pahchān hai qissa kyā hai
yā tire husn kī tanvīr se raushan hai jahāñ
yā mire ishq kā irfān hai qissa kyā hai
zohd shiblī-o-ġhazālī kā hayā hāfiz kī
haath meñ 'mīr' kā dīvān hai qissa kyā hai
azmat-bād-e-bahārī mujhe taslīm magar
phuul sharminda-e-ehsān hai qissa kyā hai
apne anjām se kyoñ aaj kā insāñ 'anvar'
jānte būjhte anjān hai qissa kyā hai
zindagi be-sar-o-saman hai qissa kya hai
jis ko dekho wo pareshan hai qissa kya hai
zulf aariz pe pareshan hai qissa kya hai
saya-e-kufr mein iman hai qissa kya hai
aaj ke daur mein bas chaak-gareban hona
tere diwanon ki pahchan hai qissa kya hai
ya tere husn ki tanwir se raushan hai jahan
ya mere ishq ka irfan hai qissa kya hai
zohd shibli-o-ghazali ka haya hafiz ki
hath mein 'mir' ka diwan hai qissa kya hai
azmat-baad-e-bahaari mujhe taslim magar
phul sharminda-e-ehsan hai qissa kya hai
apne anjam se kyon aaj ka insan 'anwar'
jaante bujhte anjaan hai qissa kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.