zindagi bhar dauDta hai baiTh ja
zindagī bhar dauḌtā hai baiTh jā
ġham kahāñ kab boltā hai baiTh jā
pahlī bārish dekh kar barsāt kī
jaane kyā tū sochtā hai baiTh jā
is qadar le kar chalā bār-e-hayāt
rāsta hī boltā hai baiTh jā
paaoñ khīñchā hai tirā ahbāb ne
kyoñ sahārā DhūñDhtā hai baiTh jā
tasht meñ lāsheñ sajī haiñ ḳhuun hai
ye siyāsī nāshta hai baiTh jā
jhuuT kī duniyā meñ sab uljhe haiñ tū
baat sachchī boltā hai baiTh jā
ik diye ne jal ke tūfāñ se kahā
mujh se Dar kar kāñptā hai baiTh jā
nanhe bachche ko tilāvat se na rok
kaan meñ ras gholtā hai baiTh jā
dekh 'as.ad' ajnabī ik shaḳhs se
rishta-e-jāñ joḌtā hai baiTh jā
zindagi bhar dauDta hai baiTh ja
gham kahan kab bolta hai baiTh ja
pahli barish dekh kar barsat ki
jaane kya tu sochta hai baiTh ja
is qadar le kar chala bar-e-hayat
rasta hi bolta hai baiTh ja
paon khincha hai tera ahbab ne
kyon sahaara DhunDhta hai baiTh ja
tasht mein lashen saji hain KHun hai
ye siyasi nashta hai baiTh ja
jhuT ki duniya mein sab uljhe hain tu
baat sachchi bolta hai baiTh ja
ek diye ne jal ke tufan se kaha
mujh se Dar kar kanpta hai baiTh ja
nanhe bachche ko tilawat se na rok
kan mein ras gholta hai baiTh ja
dekh 'asad' ajnabi ek shaKHs se
rishta-e-jaan joDta hai baiTh ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.