zindagi bhar hum jise kahte rahe hain zindagi
zindagī bhar ham jise kahte rahe haiñ zindagī
hai faqat tasvīr-e-hasrat sar-basar tishna-labī
chāhatoñ ke shoḳh naġhmoñ se musalsal kheltī
aas kī mastī fazā meñ duur tak lahrā ga.ī
phir udāsī shaam kī kuchh aur gahrī ho ga.ī
phir kisī ġhā.eb-shuda manzar kī hai jādūgarī
manziloñ kī ik shagufta manzarī ko nāptī
sāñvlī sī ik thakan hai manziloñ ke paas hī
yuuñ musalsal mauj meñ hai ek tūfān-e-nafī
mutma.in hai zaḳhm-e-dil se zaḳhm-e-dil kī tāzgī
yaad terī kuchh dabe paañv hī shāyad aa ga.ī
dastakeñ haiñ ab dar-e-dil par bahut ḳhāmosh sī
mun.akis hai shoḳh nuqtoñ par mizāj-e-shā.erī
ek sanjīda tanavvo lahja lahja puḳhtagī
lamha lamha kuchh na.ī be-tābiyoñ se āshnā
nit-na.e tevar badaltī hai fazā bhar āgahī
in laboñ par saj ga.ī harf-e-ijāzat kī tarah
ik ġhalat andāz lahje kī hasīñ āvārgī
gungunāte haiñ sitāre jhilmilātī loriyāñ
vaqt ko shāyad fazā kī god meñ niiñd aa ga.ī
bebasī kuchh is tarah likkhī hai chehre par mire
āñktā hai har bashar yaksar mirī bechārgī
ab sameTo dāstānoñ kā bikhartā silsila
hai navā-e-nīm-shab kī sādhnā ḳhāmoshī sī
zindagi bhar hum jise kahte rahe hain zindagi
hai faqat taswir-e-hasrat sar-basar tishna-labi
chahaton ke shoKH naghmon se musalsal khelti
aas ki masti faza mein dur tak lahra gai
phir udasi sham ki kuchh aur gahri ho gai
phir kisi ghaeb-shuda manzar ki hai jadugari
manzilon ki ek shagufta manzari ko napti
sanwli si ek thakan hai manzilon ke pas hi
yun musalsal mauj mein hai ek tufan-e-nafi
mutmain hai zaKHm-e-dil se zaKHm-e-dil ki tazgi
yaad teri kuchh dabe panw hi shayad aa gai
dastaken hain ab dar-e-dil par bahut KHamosh si
munakis hai shoKH nuqton par mizaj-e-shaeri
ek sanjida tanawwo lahja lahja puKHtagi
lamha lamha kuchh nai be-tabiyon se aashna
nit-nae tewar badalti hai faza bhar aagahi
in labon par saj gai harf-e-ijazat ki tarah
ek ghalat andaz lahje ki hasin aawargi
gungunate hain sitare jhilmilati loriyan
waqt ko shayad faza ki god mein nind aa gai
bebasi kuchh is tarah likkhi hai chehre par mere
aankta hai har bashar yaksar meri bechaargi
ab sameTo dastanon ka bikharta silsila
hai nawa-e-nim-shab ki sadhna KHamoshi si
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.