Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi bhar hum lab-e-dariya rahe

Mahshar Badayuni

zindagi bhar hum lab-e-dariya rahe

Mahshar Badayuni

MORE BYMahshar Badayuni

    zindagī bhar ham lab-e-dariyā rahe

    aur sarāboñ tarah tishna rahe

    merī tārīkī se ghar kyuuñ ho siyāh

    āñkheñ bujh jaa.eñ diyā jaltā rahe

    ban ga.e har 'ahd ke dil umang

    zinda log is tarah bhī zinda rahe

    zulm dekho qasr-e-ishrat ham banā.eñ

    aur hamīñ par band darvāza rahe

    jāgtī āñkhoñ se kyā aa.e nazar

    aadmī zehn agar soyā rahe

    'mahshar' is tāroñ duniyā meñ mudām

    chāñd mānind ham tanhā rahe

    zindagi bhar hum lab-e-dariya rahe

    aur sarabon ki tarah tishna rahe

    meri tariki se ghar kyun ho siyah

    aankhen bujh jaen diya jalta rahe

    ban gae har 'ahd ke dil ki umang

    zinda log is tarah bhi zinda rahe

    zulm dekho qasr-e-ishrat hum banaen

    aur hamin par band darwaza rahe

    jagti aankhon se kya aae nazar

    aadmi ka zehn agar soya rahe

    'mahshar' is taron ki duniya mein mudam

    chand ki manind hum tanha rahe

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Mahshar Badayuni (Pg. 312)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now