zindagi bhar ka rona gana hai
zindagī bhar kā ronā gaanā hai
qaid-ḳhāna to qaid-ḳhāna hai
chuuk ke naam par bhī chuuk nahīñ
kitnā zālim tirā nishānā hai
vo zamāna bhī kyā zamānā thā
ye zamāna bhī kyā zamānā hai
jaise chāheñ sajā ke pesh kareñ
aap haiñ aur ġharīb-ḳhāna hai
kyā ajab shart hai mohabbat kī
vaqt-e-ruḳhsat bhī muskurānā hai
maiñ huuñ bīmār tum chale aao
ab yahī āḳhirī bahānā hai
aur kuchh din ḳharāb kar lo yahīñ
phir tumheñ lauT kar bhī aanā hai
yaad karnā hai ek pal tum ko
aur phir der tak bhulānā hai
haañ ta.alluq hamīñ ne toḌ diyā
ab sabhī ko yahī batānā hai
zindagi bhar ka rona gana hai
qaid-KHana to qaid-KHana hai
chuk ke nam par bhi chuk nahin
kitna zalim tera nishana hai
wo zamana bhi kya zamana tha
ye zamana bhi kya zamana hai
jaise chahen saja ke pesh karen
aap hain aur gharib-KHana hai
kya ajab shart hai mohabbat ki
waqt-e-ruKHsat bhi muskurana hai
main hun bimar tum chale aao
ab yahi aaKHiri bahana hai
aur kuchh din KHarab kar lo yahin
phir tumhein lauT kar bhi aana hai
yaad karna hai ek pal tum ko
aur phir der tak bhulana hai
han talluq hamin ne toD diya
ab sabhi ko yahi batana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.