zindagi bhar shikast khai hai
zindagī bhar shikast khaa.ī hai
ab mohabbat samajh meñ aa.ī hai
dil kā milnā ḳhushī kī baat sahī
ye ḳhushī kis ko raas aa.ī hai
gar hameñ hai junūn-e-dīda-varī
un ko kyuuñ shauq-e-ḳhud-numā.ī hai
ham jidhar haiñ faqat hai nām-e-ḳhudā
vo jidhar haiñ udhar ḳhudā.ī hai
ik mulāqāt meñ hai ye aalam
jaise barsoñ kī āshnā.ī hai
baat tark-e-anā tak aa pahuñchī
ġhairat-e-dil tirī duhā.ī hai
'bazm' samjhe the sarsarī jis ko
vo mulāqāt rang laa.ī hai
zindagi bhar shikast khai hai
ab mohabbat samajh mein aai hai
dil ka milna KHushi ki baat sahi
ye KHushi kis ko ras aai hai
gar hamein hai junun-e-dida-wari
un ko kyun shauq-e-KHud-numai hai
hum jidhar hain faqat hai nam-e-KHuda
wo jidhar hain udhar KHudai hai
ek mulaqat mein hai ye aalam
jaise barson ki aashnai hai
baat tark-e-ana tak aa pahunchi
ghairat-e-dil teri duhai hai
'bazm' samjhe the sarsari jis ko
wo mulaqat rang lai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.