zindagi bhar tishna-lab rahna hamein manzur tha
zindagi bhar tishna-lab rahna hamein manzur tha
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
zindagī bhar tishna-lab rahnā hameñ manzūr thā
varna mai-ḳhāna hamāre ghar se kitnī duur thā
dūsroñ ke ghar ko baḳhshī umr-bhar ham ne ziyā
jab nazar uTThī to dekhā apnā ghar be-nūr thā
kis se ham karte ta'alluq kī anā kā tazkira
shahr-bhar meñ ḳhud-farāmoshī kā ik dastūr thā
maiñ bhī de saktā thā logoñ ke savāloñ ke javāb
maiñ buzurgoñ kī sharāfat se magar majbūr thā
vo batā.egā masāfat kī aziyyat aap ko
shahr kī sarhad pe aa kar bhī jo kosoñ duur thā
log kahte haiñ ki 'rāhī' naam thā us shaḳhs kā
vo jo ġhazloñ ke tavassul se baḌā mash.hūr thā
zindagi bhar tishna-lab rahna hamein manzur tha
warna mai-KHana hamare ghar se kitni dur tha
dusron ke ghar ko baKHshi umr-bhar hum ne ziya
jab nazar uTThi to dekha apna ghar be-nur tha
kis se hum karte ta'alluq ki ana ka tazkira
shahr-bhar mein KHud-faramoshi ka ek dastur tha
main bhi de sakta tha logon ke sawalon ke jawab
main buzurgon ki sharafat se magar majbur tha
wo bataega masafat ki aziyyat aap ko
shahr ki sarhad pe aa kar bhi jo koson dur tha
log kahte hain ki 'rahi' nam tha us shaKHs ka
wo jo ghazlon ke tawassul se baDa mashhur tha
- Book : سائبان غزل (Pg. 40)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.