zindagi bhar yahi azab raha
zindagī bhar yahī azaab rahā
mujh pe mub.ham tirā javāb rahā
jaise tū be-hisāb thā merā
dukh bhī vaise hī be-hisāb rahā
zindagī to hasīn thī lekin
bas mirā tajraba ḳharāb rahā
aur Thahro abhī chale jaanā
chand lamhoñ kā bas hisāb rahā
naaz nākāmiyoñ pe kartā vo
maiñ mohabbat meñ kāmyāb rahā
qaid-e-jāñ se maiñ ho gayā āzād
ye rahā tū ye terā ḳhvāb rahā
zindagi bhar yahi azab raha
mujh pe mubham tera jawab raha
jaise tu be-hisab tha mera
dukh bhi waise hi be-hisab raha
zindagi to hasin thi lekin
bas mera tajraba KHarab raha
aur Thahro abhi chale jaana
chand lamhon ka bas hisab raha
naz nakaamiyon pe karta wo
main mohabbat mein kaamyab raha
qaid-e-jaan se main ho gaya aazad
ye raha tu ye tera KHwab raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.