zindagi bhi ajab tamasha hai
zindagī bhī ajab tamāshā hai
dhuup ko chhāñv kā sahārā hai
miT rahe naqsh us muqaddar ke
maiñ ne sahrā se jo banāyā hai
ham-navā hai na ham-safar koī
had talak dard be-sahārā hai
apnī tanhā.iyoñ se thak kar aaj
tīrgī ne mujhe pukārā hai
mere ash.ār meñ chamaktā huuñ maiñ
jab inheñ ḳhūn-e-dil pilāyā hai
zindagi bhi ajab tamasha hai
dhup ko chhanw ka sahaara hai
miT rahe naqsh us muqaddar ke
main ne sahra se jo banaya hai
ham-nawa hai na ham-safar koi
had talak dard be-sahaara hai
apni tanhaiyon se thak kar aaj
tirgi ne mujhe pukara hai
mere ashaar mein chamakta hun main
jab inhen KHun-e-dil pilaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.