zindagi bhi ajab tamasha hai
zindagī bhī ajab tamāshā hai
kabhī aashā kabhī nirāshā hai
jis meñ kartī haiñ guftugū āñkheñ
vo mohabbat kī ek bhāshā hai
zulmat-e-ġham hai chhaT hī jā.egī
tujh ko ai dost kyoñ nirāshā hai
kyoñ akaḌtā hai ai dil-e-nādāñ
tū to paanī meñ ik batāshā hai
is zamāne meñ aadmī 'shāhīn'
jaise ik chaltā phirtā lāsha hai
zindagi bhi ajab tamasha hai
kabhi aasha kabhi nirasha hai
jis mein karti hain guftugu aankhen
wo mohabbat ki ek bhasha hai
zulmat-e-gham hai chhaT hi jaegi
tujh ko ai dost kyon nirasha hai
kyon akaDta hai ai dil-e-nadan
tu to pani mein ek batasha hai
is zamane mein aadmi 'shahin'
jaise ek chalta phirta lasha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.