zindagi bimar ho kar rah gai
zindagī bīmār ho kar rah ga.ī
sāya-e-dīvār ho kar rah ga.ī
kaun gā.egā bajā.egā use
shā.irī aḳhbār ho kar rah ga.ī
zaḳhm jab bhī mundamil hone lage
gul-makkhī añgār ho kar rah ga.ī
jis meñ terī aañkh ke aañsū bahe
vo nadī shahkār ho kar rah ga.ī
kis qadar pahlū haiñ 'ḳhushtar' baat meñ
har kalī gulzār ho kar rah ga.ī
zindagi bimar ho kar rah gai
saya-e-diwar ho kar rah gai
kaun gaega bajaega use
shairi aKHbar ho kar rah gai
zaKHm jab bhi mundamil hone lage
gul-makkhi angar ho kar rah gai
jis mein teri aankh ke aansu bahe
wo nadi shahkar ho kar rah gai
kis qadar pahlu hain 'KHushtar' baat mein
har kali gulzar ho kar rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.