zindagi bojhal hui aazar se
zindagī bojhal huī āzār se
jism jhuktā jā rahā hai baar se
dostoñ ne is qadar dhoke diye
aur raġhbat baḌh ga.ī aġhyār se
zindagī kā ik nayā imkāñ huā
ik darīcha khul gayā dīvār se
ab bayāñ kaise karūñ rūdād-e-ġham
kaam mushkil hai dil-e-nā-chār se
hijr kī rātoñ meñ bahtā hī rahā
ek naala chashm-e-dariyā-bār se
misl-e-majnūñ regzāroñ meñ rahe
sar paTakte ret kī dīvār se
ham asīrān-e-mohabbat haiñ yahāñ
uljhe haiñ ab gesū-e-ḳhamdār se
'qalb' terī ġhazleñ yuuñ shādāñ kareñ
dard nikle hai tire ash.ār se
zindagi bojhal hui aazar se
jism jhukta ja raha hai bar se
doston ne is qadar dhoke diye
aur raghbat baDh gai aghyar se
zindagi ka ek naya imkan hua
ek daricha khul gaya diwar se
ab bayan kaise karun rudad-e-gham
kaam mushkil hai dil-e-na-chaar se
hijr ki raaton mein bahta hi raha
ek nala chashm-e-dariya-bar se
misl-e-majnun regzaron mein rahe
sar paTakte ret ki diwar se
hum asiran-e-mohabbat hain yahan
uljhe hain ab gesu-e-KHamdar se
'qalb' teri ghazlen yun shadan karen
dard nikle hai tere ashaar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.