zindagi chaak hui kya ho rafu ki surat
zindagī chaak huī kyā ho rafū kī sūrat
mil ga.ī ḳhaak meñ ab zauq-e-numū kī sūrat
hausle kyā hue chaḌhte hue dariyāoñ ke
regzāroñ meñ kahāñ kho ga.ī jū kī sūrat
ḳhvāhish-e-sīm-badan se huā vahshat kā nuzūl
nashsha-e-jism ne kyā kar dī lahū kī sūrat
dukh-bharī shaam ke neze pe sisakte hue log
zarre zarre se Tapaktī man-o-tū kī sūrat
zā.iqe talḳh hue aañkh se vahshat Tapkī
kaun yaad aayā 'jamāl' aaj adū kī sūrat
zindagi chaak hui kya ho rafu ki surat
mil gai KHak mein ab zauq-e-numu ki surat
hausle kya hue chaDhte hue dariyaon ke
regzaron mein kahan kho gai ju ki surat
KHwahish-e-sim-badan se hua wahshat ka nuzul
nashsha-e-jism ne kya kar di lahu ki surat
dukh-bhari sham ke neze pe sisakte hue log
zarre zarre se Tapakti man-o-tu ki surat
zaiqe talKH hue aankh se wahshat Tapki
kaun yaad aaya 'jamal' aaj adu ki surat
- Book : Shareek-e-Harf (Pg. 54)
- Author : Khalid Jamal
- Publication : Dabistan-e-adab (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.