zindagi chhoD gai be-sar-o-saman mujhe
zindagī chhoḌ ga.ī be-sar-o-sāmān mujhe
umr-bhar yaad rahā aap kā ehsān mujhe
be-hikāyat mire ehsās kī tasvīr magar
har zamāne kā banā.e koī unvān mujhe
qat.a kar de jo zamāne se ta.alluq merā
baḳhsh de is ġham-e-hastī kā tū irfān mujhe
log dekheñge tujhe shahr meñ charchā hogā
ġhaur se dekh mirī samt na pahchān mujhe
dard kī lahar uThī maiñ ne sambhālā dil ko
kar diyā hai mirī nazroñ ne pashemān mujhe
na koī naqsh-e-qadam hai na koī gard-e-safar
duur tak raah nazar aa.ī hai sunsān mujhe
dil ne phir un se na milne kī qasam khaa.ī hai
dekh leñ vo na kisī vaqt pareshān mujhe
maiñ ne joḌā ġham-e-jānāñ se ta.alluq 'anjum'
jab dikhā.ī na diyā aish kā imkān mujhe
zindagi chhoD gai be-sar-o-saman mujhe
umr-bhar yaad raha aap ka ehsan mujhe
be-hikayat mere ehsas ki taswir magar
har zamane ka banae koi unwan mujhe
qata kar de jo zamane se talluq mera
baKHsh de is gham-e-hasti ka tu irfan mujhe
log dekhenge tujhe shahr mein charcha hoga
ghaur se dekh meri samt na pahchan mujhe
dard ki lahar uThi main ne sambhaala dil ko
kar diya hai meri nazron ne pasheman mujhe
na koi naqsh-e-qadam hai na koi gard-e-safar
dur tak rah nazar aai hai sunsan mujhe
dil ne phir un se na milne ki qasam khai hai
dekh len wo na kisi waqt pareshan mujhe
main ne joDa gham-e-jaanan se talluq 'anjum'
jab dikhai na diya aish ka imkan mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.