zindagi chhoD teri had se main bahar niklun

zindagi chhoD teri had se main bahar niklun
Taj Muhammad Siddiqui
MORE BYTaj Muhammad Siddiqui
zindagī chhoḌ tirī had se maiñ bāhar niklūñ
yuuñ to tanhā huuñ magar ban ke maiñ lashkar niklūñ
pyaas logoñ kī bujhā.ūñ maiñ yahī kaafī hai
maiñ ne chāhā hī nahīñ ban ke samundar niklūñ
zer kar duuñ maiñ kisī ko ye tamanna hī nahīñ
hai yahī ḳhuub ki ḳhud hī se maiñ behtar niklūñ
vaqt paḌ jaa.e to sarhad kī hifāzat ke liye
ho na tāqat bhale chalne kī mujhe par niklūñ
'tāj' haq baat kī duniyā meñ gavāhī ke liye
'aish-o-'ishrat ko miyāñ maar ke Thokar niklūñ
zindagi chhoD teri had se main bahar niklun
yun to tanha hun magar ban ke main lashkar niklun
pyas logon ki bujhaun main yahi kafi hai
main ne chaha hi nahin ban ke samundar niklun
zer kar dun main kisi ko ye tamanna hi nahin
hai yahi KHub ki KHud hi se main behtar niklun
waqt paD jae to sarhad ki hifazat ke liye
ho na taqat bhale chalne ki mujhe par niklun
'taj' haq baat ki duniya mein gawahi ke liye
'aish-o-'ishrat ko miyan mar ke Thokar niklun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.