zindagi chupke se ek baat kaha karti hai
zindagī chupke se ik baat kahā kartī hai
vaqt ke hāthoñ meñ kab Dor rahā kartī hai
sard sī shāmoñ meñ chaltī hai udāsī kī havā
chāñdnī raat bhī ḳhāmosh rahā kartī hai
tum to aa.e ho gulāboñ ke liye der ke ba.ad
qarya-e-jāñ meñ to ab ḳhaak uḌā kartī hai
be-sabab āñkhoñ meñ aañsū bhī nahīñ aate ab
vahshat-e-dil bhī kahīñ duur rahā kartī hai
raushnī meñ to nazar aate haiñ kitne saa.e
par ye tārīkī to saaya bhī judā kartī hai
ham bhī kho jā.eñge ik roz ufuq par yūñhī
kab kisī se ye 'farah' ziist vafā kartī hai
zindagi chupke se ek baat kaha karti hai
waqt ke hathon mein kab Dor raha karti hai
sard si shamon mein chalti hai udasi ki hawa
chandni raat bhi KHamosh raha karti hai
tum to aae ho gulabon ke liye der ke baad
qarya-e-jaan mein to ab KHak uDa karti hai
be-sabab aankhon mein aansu bhi nahin aate ab
wahshat-e-dil bhi kahin dur raha karti hai
raushni mein to nazar aate hain kitne sae
par ye tariki to saya bhi juda karti hai
hum bhi kho jaenge ek roz ufuq par yunhi
kab kisi se ye 'farah' zist wafa karti hai
- Book : Koi bhi rut ho (Pg. 161)
- Author : Farah iqbal
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.