zindagi dahr mein sad-rashk-e-iram hone tak
zindagī dahr meñ sad-rashk-e-iram hone tak
kitnī be-kaif rahī sub.h-e-alam hone tak
ahl-e-dil rāh-e-mohabbat meñ na jaane kitne
miT ga.e haiñ tirī ik chashm-e-karam hone tak
ḳhūn-e-dil hogā ravāñ chashm-e-tamannā se mirī
jāda-e-shauq meñ andāza-e-ġham hone tak
muddatoñ bahr-e-ḳhayālāt meñ Duubā hī rahā
lauh-e-dil par tirā ik naam raqam hone tak
kisī sūrat bhī sukūñ dil ko mayassar na huā
tere dar par sar-e-taslīm ke ḳham hone tak
har-nafas ālam-e-tashkīk meñ guzrā 'ahmad'
ḳhatm ye marhala-e-dair-o-haram hone tak
zindagi dahr mein sad-rashk-e-iram hone tak
kitni be-kaif rahi subh-e-alam hone tak
ahl-e-dil rah-e-mohabbat mein na jaane kitne
miT gae hain teri ek chashm-e-karam hone tak
KHun-e-dil hoga rawan chashm-e-tamanna se meri
jada-e-shauq mein andaza-e-gham hone tak
muddaton bahr-e-KHayalat mein Duba hi raha
lauh-e-dil par tera ek nam raqam hone tak
kisi surat bhi sukun dil ko mayassar na hua
tere dar par sar-e-taslim ke KHam hone tak
har-nafas aalam-e-tashkik mein guzra 'ahmad'
KHatm ye marhala-e-dair-o-haram hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.