zindagi dard-e-mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin
zindagī dard-e-mohabbat ke sivā kuchh bhī nahīñ
dard fitrat kī ināyat ke sivā kuchh bhī nahīñ
mujh gunahgār ko hai naaz jo rahmat pe tirī
tarz-e-iz.hār-e-nadāmat ke sivā kuchh bhī nahīñ
merī nazroñ kā taqāza hī sahī husn tirā
husn ik shoḳhī-e-fitrat ke sivā kuchh bhī nahīñ
kuchh na kahnā bhī mohabbat meñ mohabbat kī qasam
ek iz.hār-e-haqīqat ke sivā kuchh bhī nahīñ
ajnabī ban ke nigāhoñ meñ samāne vaale
ajnabiyyat ye ināyat ke sivā kuchh bhī nahīñ
merī duniyā-e-ḳhayālāt meñ aane vaale
ye mire ḳhvāb-e-masarrat ke sivā kuchh bhī nahīñ
merā har qaul-o-amal us kā hai shāhid 'sādiq'
merā aa.iin sadāqat ke sivā kuchh bhī nahīñ
zindagi dard-e-mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin
dard fitrat ki inayat ke siwa kuchh bhi nahin
mujh gunahgar ko hai naz jo rahmat pe teri
tarz-e-izhaar-e-nadamat ke siwa kuchh bhi nahin
meri nazron ka taqaza hi sahi husn tera
husn ek shoKHi-e-fitrat ke siwa kuchh bhi nahin
kuchh na kahna bhi mohabbat mein mohabbat ki qasam
ek izhaar-e-haqiqat ke siwa kuchh bhi nahin
ajnabi ban ke nigahon mein samane wale
ajnabiyyat ye inayat ke siwa kuchh bhi nahin
meri duniya-e-KHayalat mein aane wale
ye mere KHwab-e-masarrat ke siwa kuchh bhi nahin
mera har qaul-o-amal us ka hai shahid 'sadiq'
mera aain sadaqat ke siwa kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.